Passt nicht? Macht nichts! Sie können Artikel bis zu 30 Tage zurückgeben
Mit einem Geschenkgutschein können Sie nichts falsch machen. Der Beschenkte kann sich im Tausch gegen einen Geschenkgutschein etwas aus unserem Sortiment aussuchen.
Bis zu 30 Tage Rückgaberecht
Sanatan Dharma ki anadhi parampara mein Jagadguru Shri Nimbarkacharya ka sthan vaisa hi hai, jaisa akash-mandal mein Surya ka - apratim, akhand aur sarvaprakashak. Ve keval ek acharya nahin, apitu Vaishnav bhakti ke us divya srot hain, jinse Nimbark Sampraday ki aviral dhara yugon-yugon se pravahit hoti aa rahi hai.
Prastut granth "Jagadguru Nimbarkacharya - Sanatan ke Surya" ek sudirgha shodh-sadhana ka parinam hai. Ismen Jagadguru ke darshhanik siddhant Dvaitadvaita Vedanta, unki bhakti-paddhati, Bairagi parampara mein unka yogdan aur Sanatan Dharma ki raksha mein unki atulaniya bhumika ko pramanik aitihasik drishti se prastut kiya gaya hai.
Lekhak ne desh-videsh ke tirth-sthalon, prachin granthon aur sant-paramparaon ke gahan adhyayan ke aadhar par yah siddh kiya hai ki Nimbarkacharya na keval Madhyakal ke mahanatam acharyaon mein se ek hain, apitu ve Sanatan Vaishnav Parampara ke aadi-srot hain.
Yah granth un sabhi jigyasuon, bhakton, shodhartiyon aur dharma-premiyon ke liye anivarya pathneey hai, jo Sanatan Dharma ki jadon ko samajhna chahte hain.
Hallo! Ich bin Libroamiko, dein Buchberater.
Wie kann ich dir helfen?